Mujh Pe Bhi Chashme Karam Aye Mere Aaqa Karna - Pir Naseer ud din Naseer


Mujh Pe Bhi Chashme Karam
Aye Mere Aaqa Karna
Haq Toh Mera Bhi Hai
Rehmat Ka Takaaza Karna

Tu Kisi Ko Uthata Nahi Apne Dar Se
Ke Teri Shaan Ke Shaaya Nahi Aisa Karna

Mai Hu Bekas Ke Tera
Shewa Hai Sahara Dena
Mai Hu Beemaar Tera
Kaam Hai Achcha Karna

Mai Ke Zarra Hu Mujhe
Wusate Sahara Dede
Ke Tere Bas Me Hai
Katre Ko Bhi Darya Karna

Yeh Tera Kaam Hai
Aye Aamina Ke Durr e Yateem
Saari Ummat Ki Shafa’at
Tane Tanha Karna

Chaand Ki Tarha Tere Gird
Woh Taaro Ka Hujoom
Woh Tera Halqaye Ashaab Me
Baitha Karna

Mujh Pe Mehshar Me
Naseer Unki Nazar Padh Hi Gayi
Kehne Waale Isse
Kehte Hai Khuda Karna

اَللّٰھُمَّ اجۡعَلۡنیۡ مِنَ التَّوَّابِیۡنَ وَاجۡعَلۡنِیۡ مِنَ الۡمُتَطَہِّرِیۡنَ

Syed Farhan Ali Qadri #Tundav ❤️

आपको अगर कोई सवाल है तो जरूर कमैंट्स में हमें बताईये - अगर वीडियो अच्छा लगा तोह लिखे और सब्सक्राइब जरूर कीजियेगा | 

Jazāk Allāhu Khayran - جَزَاكَ ٱللَّٰهُ خَيْرًا

Comments